Mujhe Kya Sochna Chaahye?

Mujhe kia sochna chahiye?
Ap wohi kuch soch sakte hen jo Ap karna chahte hen. Jo ap sochte hen wo ap kar sakte hen, jo ap soch nahi sakte wo ap kar nahi sakte. Jo kuch ap apne mutaliq sochte hen wohi apki haqiqat haj jaata hai. Hum sab apni zaat k andar 1 tasweer rakhte hen jo hmari zindagi ki taeen krke wohi kuch humen bana deti hai.
Ye tasweer hmari zaat k andar kese banti hai? 
Jab se Ap paeda huwe hen Ap ne beshumar baten suni hen, Aqaaida or Fakhar Guroor bhi apke mahol me mojood tha. Ap k pas in cheezon ya baaton k intkhab ka koi raasta na tha, Ap ne wohi kuch qabool kr lia jo apke mutaliq kaha gaya. Jab apko barhon se sakht qism jumlay sun'na parre jis se ap aazarda huwe. Apke mutaliq jo kuch b kaha gaya wo sab sach na tha Lekin apke pas aesi tanqeed se bachne ka koi raasta na tha.
Agar apko kisi barre ne kaha k Ap ye kaam nahi krskte to us waqt apko manfi hukkam se roqa gaya, jab k ap wo kam kr skte the. Ap k zehan k anrar ye baat beth gai k Ap wo kaam kar hi nahi sakte Ap me wo kaam krne ki salahiyat hi nhi. School k kuch teachers or bht se afraad apko aesi guftagu se Apki fitri salahiyaton ko dabba dete hen.
Aese hi khayalat apke zehan me pukhta hote rahe or unhi khayalat ne apke andr apki aane wali zindagi ki tasweer sabt krdi. Is wajah se ap apni zindagi me kuch Aala qism ki kamiyabi haasil krne me nakam rahe. Jab kisi nayi cheez k bare me ap se bat huwi to apke zehan ne wo nayi baat qabool krne se inkaar krdya.
Ap kuch aese kaam krna bhi chahte the lekin apki zaat k andr chupe huwe manfi khayalat ne aesa krne ki ijazat na di, Unhi manfi khayalat ne apki salahiyaton ko dabba kar Apko zindagi me peeche chorr dia.

Ap sab kuch tabdeel kar sakte hain.
Agar apke khayalat kamiyabi k lye pur-umeed hen, apke khayalat khushgawar hen, Tab ap kamiyabi hasil kar skte hen or khush b reh skte hen. Agar apke khayalat naakami k baare me hi sochte hen to ap nakam hi rahenge.

Apko intkhab karne ki aazadi hai. Ap apni zindagi k baare me khud hi soch sakte hen, Is dunya me apke khayalat se koi doosra nahi soch sakta. Doosre log apko bta skte hen k wo kia sochte hen or wo aksar yehi kehte hen or sochte hen k apko b unki tarah sochna chahye. Doosre log jo sochen wo apke lye itjlna behtr nahi hota, Ap jo sochte hen wohi apke lye ahem hota hai.
Hum sab apni zaat ki nashonima k hawale se aik dusre se mukhtalif hote hen.

Ap maazi me wapis nahi jaa skte.
Jab ap apni na-khushgawar yaadon se pareshan hote hen to us se apk khud ko bhi qasoorwar thehraate hen. Ap maazi me wapis to nahi jaaskte lekin Ap maazi k waqiyat se or apni galtiyon se boht kuch seekh sakte hen. Maazi ki galtiyon se pareshan hone k bajae un se sabaq seekh kar apni zaat ki mazeed nashonima ki jaa skti hai. A0ke zehan se jab manfi khayalat nikal jaenge to ap 1 khushgawar zindagi guzaar skte hen.

Wo Log Kabhi Kamiyab Nahi Hotay Jin Main Nakami Ka Khoaf Kamiyabi Ki Chahat Se Ziyada Ho.

Comments

Popular posts from this blog

Kamiyaabi Qismat Aur Mehnat

Ap boht ahem shaksiyat hain

Motivation