Kamiyaabi Qismat Aur Mehnat

Assalam-o-alaikum Dear Friends Aj ka mera topic hai Kamiyaabi Qismat or Mehnat.. Kaafi Logon ka kehna hai k Kamiyaabi Mehnat se milti hai or wese hi Kaafi log ye b kehte hain k Kamiyaabi Qismat se milti hai, Hum logon k zehan me ye soch bithaa di gai hai k Kamyabi k lye Qismat zaroori hai, Luck is everything magar haqeeqat me aesa kuch bi nahi hai, Kamiyaabi ka qismat se koi taaluq nahi. Kamyabi agr Qismat se milti to scientist research krna chorr detay, Taalib-e-Ilm kitaaben parhna chorr detay, Log kabhi Chaand tak pohchne me kamyaab na ho paate or kbhi ye Pakistan wajood me na aa pata, Log chaand pr pohchne me kamyaab hue wajah qismat nhi mehnat thi, Science ne itni taraqi ki wajah qismat nahi mehnat thi, Pakistan 14 august 1947 ko dunya k naqshe pe aaya iski wajah koi qismat, muqqadar ya haath ki lakeeren nhi blke Tehreeke pakistan me shaamil logon ki mehnat, mehnat or sirf mehnat thi, Agr Kamiyabi mehnat se nhi qismat se milti to Toofano me samundar ki moajon se saamna karne walay Mallah apni kashti ko qismat k haathon chorr detay, Taalibe ilm kitaaben parhna chorr detay or Teachers awal domm or somm aane walay k lye qismat purri khol detay....
Mehnat me kbhi hmen shikast nahi milti agr milti b hai to sirf wahin jahan hum doosron se jadojahad me peeche reh jaate hain, Phool yunhi khilaa nahi kartay beej ko daffan hona parrta hai, So Keep Trying and believe in try not in luck.
Agr kisi ko ab bhi lagta hai k Kamiyaabi ka taaluq qismat se hai to unko ye mashwara dnga k Ap kisi CSS ki test dene jaaen or Paper khali chorr k aajarn phr dekhenge Apki qismat apko kahan le chalti hai, shukrya.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Ap boht ahem shaksiyat hain

Motivation