Ap boht ahem shaksiyat hain

hud ko pehchaniye or tasleem kijye.
Ap boht hi ahem shaksiyat hain,
Ap bemisaal hain, Ap jesa koi nahi, Ap takhliqi shaksiyat hain, Ap me bepanah salahiyaten hain, Ab ap ne apni behtreen shaksiyat ko pehcuan liya hai.

Kia Ap ne ooper k Alfaaz ki ahmiyat ko mehsoos kia?
Inko dobara parhiye. ye alfaaz apki shaksiyat k hawale se bilkul sach hain.
Agar ap is tarah in hidayat pr amal krte rahe to ye apka aala or azeem shaksiyat me badalne ka ibtdaai qadam hai, is amal ko jari rakhne se ap apni zindagi ko tabdeel krke aala tareen maqam pr pohch skte hain.
haan ye bat bi yaad rakhen agar ap ne in hidayat pr amal na kia to ap apni salahiyaton ko bedaar krne ka moqa kho denge or apni zindagi me koi tabdeeli na la skenge.
'Mujh me koi talent nahi hai' 'meri umar kafi ho chuki hai' 'main kbhi b khushqismat nahi raha' meri koi khas taleem nah' khud ko aesa kehne se rokiye, Jab ap aesa kehte hain to apni behtreen tawanai ko zaiyah krdete hain.
Apni shaksiyat par nazar daalen.
Ap aaine k samne hen ya Apke samne apki koi tasveer hai ab ap isse goar se dekhen, Ap jis shaksiyat ko dekh rahe he ye shaksiyat poore tor pr anokhi or bemisaal hai, poori dunya me is jesi koi doosri shaksiyat nhi, apka chehra poori dunya me kisi se nhi milta, ap jesi muskrahat kisi dusre ki nhi, ap jesa zehan kisi doosre ka nhi, apki unglyon k nishan dunya me kisi shakhs se nhi milte, Apki har aik cheez bemisaal or anokhi hai.
Ap boht ahem shaksiyat hain or Apke jesa kam koi nahi krskta.
Apne ap ko pehchaniye or khud ko kisi se km na samjhen Khud ko aesi wesi sochon se kmzor na kren, Ap wohi sb soch skten hen jo ap kr skte hen. Khud ko Pehchaniye Aur Apne ap ko saabit kren. Never Give up

Comments

Popular posts from this blog

Kamiyaabi Qismat Aur Mehnat

Motivation